Chhup Jao
Chhup jao in pardo k peechhe
Dekh n lien meri nazrien tumhien
Chhoo n payein mere khayal bhi tumko
Mauzu n bana lien meri nazmien tumhien
Chhup jao kahi meri aahon se pare
Kahi dubo na lein ye lehrien tumhien
Ki kuch din hijr se bhi ru b ru holu
Hai milan ki rat ki kasmien tumhien
Chhup jao, varna, de n pao.gi jawaab unka
Puchhti rehti hain jo sawal meri nazrien tumhien
0 comments:
Post a Comment